• Contact Form

    Name

    Email *

    Message *

    Benefit of Linseed (अलसी के असरकारी नुस्खे )

    Linseed(alsi ) ko devtao ka bhoj mana jata hai. Ye bhure rang ki till ke beej ke saman hoti hai. Alsi ko manushya ke liye amrit ke saman mana gya hai.
             Alsi vastav me guno ki khan hai. Bahut kam log alsI fayde jante hai. Alsi ke niyamit sevan se hum kai prkar ke rogo se chhutkara paa sakte hai. Isme omega 3 fatty acid paya jata hai jo humare sharir me nahi banta hai hum use bhojan se hi prapt kiya jata hai.
             Non vegetarian logo ko omega 3 fatty acid fish ( machali ) se mil jata hai lekin vegetarian logo ko omega 3 fatty acid prapt karne ka sabse achha strot alsi hai.

    Hum aap ko alsi ke kuchh guno ke bare me jankari dena chahenge jo sabhi ko nhi pata hati hai. Alsi bahut hi gunkari or humare liye vardan hai. Iske pryog se kai bimariya dur hoti hai. Aaiye alsi ke guno k bare me charcha kare. 

    1) Pet saf karne ka aasan or gharelu upaye alsi ka sevan karna hai. 

    2) Alsi blood me sugar or cholesterol kam karne me sahayak hai. 

    3) sharir ko energy deti hai. 

    4) cancer rodhi harmons ko active karti hai. 

    5) Mahilao me periods problem ko dur karti hai. 

    6) Sharir me achhe cholesterol ko badati hai or kharab cholesterol ko kam karti hai. 

    7)heart ki problem ko kam karti hai. 

    8) blood pressure ko control krne me sahayak hai. 

    9) twacha ko Swasth rakh kr sukhapan dur karti hai. 



    Ye kuchh gun hai jo hum ne aap ko bataye hai alsi ke. Ab kuchh Bimariyo ke bare me bat karenge jinme alsi bahut hi upyogi hai. 

    1)Dubieties ke Marijo ko alsi ka sevan karna chahiye. Unhe aate me alsi ko mila kr unki roti bana ke khana chahiye. 

    2) cancer ke Marijo ko alsi ka tel paneer me mila kar dry fruits ke sath khana chahiye. 

    3) alsi ka sevan karne pr pani khub pina chahiye kyuki IIsme fiber adhik hota hai jisse pyas adhik lagti hai. 

    4) khasi me alsi ki chai bana ke pina chahiye. 

    5) piles ( bavasir ) me alsi bahut hi upyogi hai 10g alsi ko bhun kr s
    ubah sham khane ke bad ek ek chamach khane se piles ki problem dur hoti hai. 


    Sawadhaniya-alsi ka pryog dast or Dyria me na kare

    . Or alsi ke sevan se loos motion bhi ho sakta hai to ghabraye nhi kam matra me le dhire dhire aadat ho jayegi humare sharir ko. 

    To aap ne dekha chhoti si alsi ke dale me kitne gun bhare hai. Aayurved me to ek vardan hai alsi. Or adhik jankari ke liye humari pichhli post padhe 



    Not-
               किसी भी ओषधि के सेवन से पूर्व किसी वैद या डॉक्टर की सलाह अवश्य लें। सभी मनुष्य की शारीरिक प्रकृति अलग अलग होती है। और औषधि मनुष्य की प्रकृति के अनुसार दी जाती है यह वेबसाइट किसी को भी बिना सही जानकारी के औषधि सेवन की सलाह नही देती अतः बिना किसी वैद की सलाह के किसी भी दावाई का सेवन ना करें।

    Twacha Sambandhi samsyaye balo ki samsyaye or unke gharelu nuskhe janne ke liye is link pr click kare


    No comments