• Contact Form

    Name

    Email *

    Message *

    Teen aggers k liye kuchh instruction


                 Teen age esi stage hai jisme jo bachapab or jawani ke bich ki age hai. Or is age me hi hum bahut sari esi galtiya kar bethte hai Jo hume nhi karna chahiye.
    Is age me humare sharir me kai badlao aate hai. Harmons change hote hai jisse bachho ko bado ki guidance ki jarurat hoti hai.
    Teen age humrai life ki sabse sensitive stage hoti hai. Isi age me hum un rasto par chalne lagte gai jin par hume nhi chalna chahiye. Hum independent hona chahte hai. Hum chahte hai hum apne faisle khud len. Bado or mata pita ka samjhana hume apni life me uka interfere karna lagta hai. Or sabse jada hum sex ki tarf aakarshit hote hai. Boyfriend girlfriend banana hume achha lgta hai. Or sahi guidance nhi milne pr hum galat raste par chalne lgte hai.
          Ye kuchh esi bate hai jo teen age me hona normal hai but savdhaniya rkhne se is age me hum apne aap ko galt raste par chalne se rok sakte hai. Aaiye kuchh ese instruction pr gaur kre jinko follow kr ke hum apna future sahi disha me le ja sakte hai.

    1) es age me hume apne se bado ki bat manna chahiye. Wo jo sochege apne bachho ki bhalai ke liye hi sochege. Unko life ka experience hota hai. Isliye unke samjhane ko unka interference nhi sanjhe balki unki bato pr Dhyan den.

    2) ladkiyo ko chahiye ki wo apni maa se har bat share kare kyuki maa hi unki best friend hoti hai. Or wo hume humare faisle lene me help krti hai.

    3) ese dost banye jo aap ka achha chahte ho ese nhi jo aap ko galat raste pr le jaye.

    4) is age me dosto ki company ka sabse jada asr hota hai jese dosto ki company me aap rhege wesa aap banenge.

    5) ghar ke bado or family member ko chaiye ki ghar ka mahol esa rakhe jisse bachhe bahar kisi or ka sath na dhunde ho unhe galt raste pr le jaye.

    6) or school or collage ke mahol ka bhi asr hota hai ladke drink or smock krne lagte hai. Mata pita ko chahiye bachho par thoda control rakhe jada freedom bachho ko galt raste pr le jati hai.
        
          Ye kuchh ese instruction hai jo hum ne aap ko btaye hai jo teen aggers ke liye follow karna jaruri hai agar hume humara future achha karna hai.
    Or kisi bhi tarah ki koi bhi jankari ke liye humari pichhli post padhe.



    Not-
               किसी भी ओषधि के सेवन से पूर्व किसी वैद या डॉक्टर की सलाह अवश्य लें। सभी मनुष्य की शारीरिक प्रकृति अलग अलग होती है। और औषधि मनुष्य की प्रकृति के अनुसार दी जाती है यह वेबसाइट किसी को भी बिना सही जानकारी के औषधि सेवन की सलाह नही देती अतः बिना किसी वैद की सलाह के किसी भी दावाई का सेवन ना करें।

    aayurvadvice.blogspot.com

    onnihealhcare.blogspot.com


    No comments