Shatawari ( Asparagus) Aayurved ki duniya me asadharan aushdhi
Shatawari Aayurved jagat ki ek jani mani jadi buti h.
ise mahilao ki jadi butimana jata h.waise ye pursho k rogo ko b dur krti h.
iska podha jhadinuma hota h tasir me sital madhur hoti h.isme phool or manjari 1-2 inch me lage hote hai.
Shatawari bahut pahle se mahatvpurna aushdi ke rup me pryog ki jati rahi hai. Shatawari ko shukranu janan, shital or divya aushadhi mana jata hai.
Ab hum Shatawari ke fayde kya hai un par charcha karenge.
1) ye mahilayo k liye tonic k saman hai. kamzor mahila k sharir ko poshit krti hai. wat pitt kaf ko balance krti hai. isme vitamen a hota h iske sewan se twcha pr glow ata hai.
2) khasi ke liye bahut faydemand hai. Sukhi khasi or sir dard ko dur karne me sahayak hai.
3) cancer ke liye bahut hi karagar aushdhi hai. Isme anti oxidant hota hai. Vitamin A, B, or C hota hai. Potassium or zinc hota hai. Heston namak protein paya jata hai.
Jo cancer ke ilaj me yogdan dete hai.
4) purusho ke liye sakti vardhak hai. Iske churan ko dhud me kheer bana ke khane se yon shakti badhti hai.
5) anindra me bhi ye aushdhi ke rup me pryog ki jati hai. Shatawari ke 5-10 g. Churan ko 10-15 g. Ghee or dhudh me khane se anindra ki problem dur hoti hai.
6) bukhar me bhi bahut fayda karti hai. Shatawari or giloye ka rus gurh me lene se bukhar me aaram milta hai.
7) khuni dast hone par bhi gili Shatawari ko dudh me pees kr usko chhan kr ya ghee me mila kr paka lijiye. Iske istemal se aaram milta hai.
8) jin matao ko dudh kam ata hai or bacha bhukha reh jata hai unke liye wardan se km nahi iske sewan dudh ki matra me 4guni vradhi hoti hai.
9) mahawari Harmons ka unbalance hone pr iske sewan se turnt labh hota hai.
10) iska sewan sarir ko pusth or balwan banata hai. jin mahilao ka vikash nahi hua brest ka akar km hai vajan km hai unhe jaur iska sewan krna chahiye iske sewan sd se brest ka akar badkr sarir sudol ho jata hai.
Ye kuchh fayde jo hum ne aap ko btaye hai Shatawari ke.
gramin ilako me gay bhesho ko b iska sewan dudh vradhi k liye karaya jata hai.
gramin ilako me gay bhesho ko b iska sewan dudh vradhi k liye karaya jata hai.
banjh pann ko b dur krti hai.
Or adhik jankari ke liye humari pichhali post padhe.
Not-
किसी भी ओषधि के सेवन से पूर्व किसी वैद या डॉक्टर की सलाह अवश्य लें। सभी मनुष्य की शारीरिक प्रकृति अलग अलग होती है। और औषधि मनुष्य की प्रकृति के अनुसार दी जाती है यह वेबसाइट किसी को भी बिना सही जानकारी के औषधि सेवन की सलाह नही देती अतः बिना किसी वैद की सलाह के किसी भी दावाई का सेवन ना करें।
Twacha sambandhi samasyaye, balo ki. Samasyaye, keel muhase, or unke upchar ke gharelu nuskhe janane ke liye is link pr click kijiye
Aayurvadvice.blogspot.com
onnihealhcare.blogspot.com

No comments